Wednesday, 2 April 2014


Gaye mausmaoN maiN jo khiltay thay gulaaboN ki tarah

Gaye mausmaoN maiN jo khiltay thay gulaaboN ki tarah
mujh pe utraiNge wohi khaab azaaboN ki tarah.


raakh k dher pe ab raat basar karni hae
jal chukay haiN meray khemay, meray khaaboN ki tarah


sa.at e deed k aariz haiN gulaabi ab tak
awwaleeN lamhoN k gulnaar hijaaboN ki tarah


woh samandar hae to phir rooh ko shadaab karay
tishnagi kyuN mujhay deta hae saraaboN ki tarah


ghair mumkin hae tere ghar k gulaboN ka shomaar
meray ristay huwe zakhmoN ki hisaaboN ki tarah


yaad to hoNgi woh baataiN tujhay ab bhi lekin
shelf maiN rakhi hui band kitaaboN ki tarah


kaun janay k naye saal meiN tu kis ko paRhay
tera mayaar badalta hae nisaaboN ki tarah


shokh hojati hae ab bhi teri aankhoN ki chamak
gaahay gaahay teray dilchasp jawaaboN ki tarah


hijar ki shabb meri tanhai pe dastak degi
teri khush.boo meray khoye huwe khaaboN ki tarah.

No comments:

Post a Comment