Khushnaseeb ashkon mein yeh khaaksaar kahan..
Khushnaseeb ashikon mein yeh khaaksaar kahan,
Bhula jo deta un ko aakhir, yeh ikhtiyaar kahan,
Bhula jo deta un ko aakhir, yeh ikhtiyaar kahan,
Hota hai chahat ka asar har tabeeyat pe mukhtalif,
Besabri dekho hum hi ko hai, unko intezaar kahan,
Besabri dekho hum hi ko hai, unko intezaar kahan,
Ranj-o-gham se labrez ik daastan apni zubaani,
Bechna hamein bhi tha, lekin, kharidaar kahan?
Bechna hamein bhi tha, lekin, kharidaar kahan?
Raat gayi, baat gayi, saath gaye wo haseen pal,
Khula hai dareecha aaj bhi, nigahen chaar kahan,
Khula hai dareecha aaj bhi, nigahen chaar kahan,
Be-mausam ki baarish hain, bheegne se na katra’aa,
Aayenge aise mauke ‘Aashiq’ ab baar baar kahan....
Aayenge aise mauke ‘Aashiq’ ab baar baar kahan....
No comments:
Post a Comment