Thursday, 3 April 2014


Mein rah guzar mein khari hui hon..

Mein rah guzar mein khari hui hon
Tumhari khatir ari hui hon
Dukh’on sey daman wasi hai mera
Inhi mein pal key bari hui hon
Kisi ki mujh ko nahi hai parwah
Mein teray dil mein jari hui hon..

Hamara dosh hai mana

Hamara dosh hai mana
Tum’hein apna jo hai jana
Tumharey bin ye jewan marg jesa hai
Hum’ein janat ka har gosha bhi goya narm jesa hai
Haqeqat mein agar socho
Muhabbat mein ana ka kam hi kia hai
Chalo ab man bhi jao
Key tum ko hum manatey hein
Hum’ein tum sey muhabbat hai

No comments:

Post a Comment